Thursday, September 5, 2019

Main Jaise Chaahu Jiyoon Meri Zindagi Hai Miyaan – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari


This beautiful ghazal 'Main Jaise Chaahu Jiyoon Meri Zindagi Hai Miyaan' has written by Waseem Barelvi.


Main Jaise Chaahu Jiyoon Meri Zindagi Hai Miyaan


Main jaise chaahu jiyoon meri zindagi hai miyaan 
Tumhein saleeqa sikhaane ki kya padi hai miyaan

Kisi se bichhadon to ye sochkar bichhad jaana
Taalluqaat se yah zindagi badi hai miyaan

Tumhaari socho ke aksar khilaaf hota hai
Tumhaare baare me duniya jo sochati hai miyaan

Is intizaar mein kyon ho wo laut aayega
Tumhaare pyaar mein shaayad koi kami hai miyaan

Bichhad gaye to kisi roz mil bhi jaoge
Yah duniya aisi kahaan ki bahut badi hai miyaan.



मैं जैसे चाहू जिऊं मेरी जिंदगी है मियां
(In Hindi)  

मैं जैसे चाहू जिऊं मेरी ज़िन्दगी है मियां 
तुम्हें सलीक़ा सिखाने की क्या पड़ी है मियां

किसी से बिछड़ों तो ये सोचकर बिछड़ जाना तअल्लुक़ात से यह ज़िन्दगी बड़ी है मियां

तुम्हारी सोचो के अकसर ख़िलाफ़ होता है
तुम्हारे बारे मे दुनिया जो सोचती है मियां

इस इन्तिज़ार में क्यों हो वो लौट आयेगा 
तुम्हारे प्यार में शायद कोई कमी है मियां

बिछड़ गये तो किसी रोज़ मिल भी जाओगे 
यह दुनिया ऐसी कहां की बहुत बडी है मियां

                                – Waseem Barelvi